na kar 'sauda' tu shikwa hum se dil ki be-qarari ka
mohabbat kis ko deti hai miyan aaram duniya mein
Sauda Mohammad Rafi
'sauda' hue jab aashiq kya pas aabru ka
sunta hai ai diwane jab dil diya to phir kya
Sauda Mohammad Rafi
samjhe the hum jo dost tujhe ai miyan ghalat
tera nahin hai jurm hamara guman ghalat
Sauda Mohammad Rafi
saqi hamari tauba tujh par hai kyun gawara
minnat nahin to zalim targhib ya ishaara
Sauda Mohammad Rafi
saqi gai bahaar rahi dil mein ye hawas
tu minnaton se jam de aur main kahun ki bas
you plead with me to take a drink and I say no more
Sauda Mohammad Rafi
naubat-e-qais ho chuki aaKHir
ab to 'sauda' ka bajta hai nanw
Sauda Mohammad Rafi
nasim hai tere kuche mein aur saba bhi hai
hamari KHak se dekho to kuchh raha bhi hai
Sauda Mohammad Rafi
nahin hai ghar koi aisa jahan us ko na dekha ho
kanhayya se nahin kuchh kam sanam mera wo harjai
Sauda Mohammad Rafi
main ne tum ko dil diya aur tum ne mujhe ruswa kiya
main ne tum se kya kiya aur tum ne mujh se kya kiya
Sauda Mohammad Rafi

