koi bhi ghar mein samajhta na tha mere dukh sukh
ek ajnabi ki tarah main KHud apne ghar mein tha
Rajinder Manchanda Bani
kisi maqam se koi KHabar na aane ki
koi jahaz zamin par na ab utarne ka
Rajinder Manchanda Bani
is tamashe mein tassur koi lane ke liye
qatl 'bani' jise hona tha wo kirdar tha main
Rajinder Manchanda Bani
is qadar KHali hua baiTha hun apni zat mein
koi jhonka aaega jaane kidhar le jaega
Rajinder Manchanda Bani
is andhere mein na ek gam bhi rukna yaro
ab to ek dusre ki aahaTen kaam aaengi
Rajinder Manchanda Bani
hari sunahri KHak uDane wala main
shafaq shajar taswir banane wala main
Rajinder Manchanda Bani
din ko daftar mein akela shab bhare ghar mein akela
main ki aks-e-muntashir ek ek manzar mein akela
Rajinder Manchanda Bani
Dhalegi sham jahan kuchh nazar na aaega
phir is ke baad bahut yaad ghar ki aaegi
Rajinder Manchanda Bani
chalo ki jazba-e-izhaar chiKH mein to Dhala
kisi tarah ise aaKHir ada bhi hona tha
Rajinder Manchanda Bani