is qadar KHali hua baiTha hun apni zat mein
koi jhonka aaega jaane kidhar le jaega
Rajinder Manchanda Bani
aaj kya lauTte lamhat mayassar aae
yaad tum apni inayat se baDh kar aae
Rajinder Manchanda Bani
hari sunahri KHak uDane wala main
shafaq shajar taswir banane wala main
Rajinder Manchanda Bani
din ko daftar mein akela shab bhare ghar mein akela
main ki aks-e-muntashir ek ek manzar mein akela
Rajinder Manchanda Bani
Dhalegi sham jahan kuchh nazar na aaega
phir is ke baad bahut yaad ghar ki aaegi
Rajinder Manchanda Bani
chalo ki jazba-e-izhaar chiKH mein to Dhala
kisi tarah ise aaKHir ada bhi hona tha
Rajinder Manchanda Bani
ain karti hui samton se na Darna 'bani'
aisi aawazen to is rah mein aam aaengi
Rajinder Manchanda Bani
agule us ke sar par chiKHte the
magar wo aadmi chup zat ka tha
Rajinder Manchanda Bani
'bani' zara sambhal ke mohabbat ka moD kaT
ek hadsa bhi tak mein hoga yahin kahin
Rajinder Manchanda Bani