garm kar de tu Tuk aaghosh mein aa
mare jaDe ke Thire baiThe hain
Qayem Chandpuri
gar yahi na-sazi-e-din hai to ek din shaiKH-ji
phir wahi hum hain wahi but hai wahi zunnar hai
Qayem Chandpuri
gandumi rang jo hai duniya mein
meri chhati pe mung dalta hai
Qayem Chandpuri
fikr-e-tamir mein hun phir bhi main ghar ki ai charKH
ab talak tu ne KHabar di nahin sailab ke tain
Qayem Chandpuri
dun ham-sari mein baiTh ke kis na-saza ke sath
yan bahs ka dimagh nahin hai KHuda ke sath
Qayem Chandpuri
duniya mein hum rahe to kai din pa is tarah
dushman ke ghar mein jaise koi mehman rahe
I did stay in this world but twas in such a way
a guest who in the house of his enemy does stay
Qayem Chandpuri
duKHtar-e-raz to hai beTi si tere upar haram
rind is rishte se sare tere damad hain shaiKH
Qayem Chandpuri
dil se bas hath uTha tu ab ai ishq
deh-e-viran par KHiraj nahin
Qayem Chandpuri
dil ko phansa hai har ek uzw ki tere chhab ne
hath ne panw ne mukhDe ne dahan ne lab ne
Qayem Chandpuri