dard-e-dil kyun-ki kahun main us se
har taraf log ghire baiThe hain
Qayem Chandpuri
girya to 'qaem' thama mizhgan abhi honge na KHushk
der tak Tapkenge baran ke shajar bhige hue
Qayem Chandpuri
Daha khaDa hai hazaron jagah se qasr-e-wajud
bataun kaun si us ki main ustuwar taraf
Qayem Chandpuri
chahiye aadmi ho bar-e-talluq se bari
kyunki beganon ke yan bojh ko KHar Dhote hain
Qayem Chandpuri
chahen hain ye hum bhi ki rahe pak mohabbat
par jis mein ye duri ho wo kya KHak mohabbat
Qayem Chandpuri
ina thi aish-e-jahan ki tamam ghaflat par
khuli jo aankh to goya ki ahtelam hua
Qayem Chandpuri
ang-e-masjid se kab us ko sar-e-manusi hai
jis ke kanon mein bhara nala-e-naqusi hai
Qayem Chandpuri
aD na kah baat ko tin hazrat-e-'qaem' ki ki wo
mast-e-allah hain kya jaaniye kya kahte hain
Qayem Chandpuri
aad KHat aane ke us se tha wafa ka ehtimal
lek wan tak umr ne apni wafadari na ki
Qayem Chandpuri