ghair-mumkin hai tere ghar ke gulabon ka shumar
mere riste hue zaKHmon ke hisabon ki tarah
Parveen Shakir
aamad pe teri itr o charagh o subu na hon
itna bhi bud-o-bash ko sada nahin kiya
Parveen Shakir
ek suraj tha ki taron ke gharane se uTha
aankh hairan hai kya shaKHs zamane se uTha
Parveen Shakir
ek musht-e-KHak aur wo bhi hawa ki zad mein hai
zindagi ki bebasi ka istiara dekhna
Parveen Shakir
dushmanon ke sath mere dost bhi aazad hain
dekhna hai khinchta hai mujh pe pahla tir kaun
Parveen Shakir
dil ajab shahr ki jis par bhi khula dar is ka
wo musafir ise har samt se barbaad kare
Parveen Shakir
dhime suron mein koi madhur git chheDiye
Thahri hui hawaon mein jadu bikheriye
Parveen Shakir
dene wale ki mashiyyat pe hai sab kuchh mauquf
mangne wale ki hajat nahin dekhi jati
Parveen Shakir
darwaza jo khola to nazar aae khaDe wo
hairat hai mujhe aaj kidhar bhul paDe wo
Parveen Shakir