dekhna hai tujhe sahra to pareshan kyun hai
kuchh dinon ke liye mujh se meri aankhen le ja
Munawwar Rana
din bhar ki mashaqqat se badan chur hai lekin
man ne mujhe dekha to thakan bhul gai hai
Munawwar Rana
ek aansu bhi hukumat ke liye KHatra hai
tum ne dekha nahin aaankhon ka samundar hona
Munawwar Rana
aate hain jaise jaise bichhaDne ke din qarib
lagta hai jaise rail se kaTne laga hun main
Munawwar Rana
gar kabhi rona hi paD jae to itna rona
aa ke barsat tere samne tauba kar le
Munawwar Rana
ghar mein rahte hue ghairon ki tarah hoti hain
laDkiyan dhan ke paudon ki tarah hoti hain
Munawwar Rana
hans ke milta hai magar kafi thaki lagti hain
us ki aankhen kai sadiyon ki jagi lagti hain
Munawwar Rana
hum nahin the to kya kami thi yahan
hum na honge to kya kami hogi
Munawwar Rana
hum sab ki jo dua thi use sun liya gaya
phulon ki tarah aap ko bhi chun liya gaya
Munawwar Rana