tumhaari aankhon ki tauhin hai zara socho
tumhaara chahne wala sharab pita hai
Munawwar Rana
tumhein bhi nind si aane lagi hai thak gae hum bhi
chalo hum aaj ye qissa adhura chhoD dete hain
Munawwar Rana
wusat-e-sahra bhi munh apna chhupa kar nikli
sari duniya mere kamre ke barabar nikli
Munawwar Rana
ye aisa qarz hai jo main ada kar hi nahin sakta
mein jab tak ghar na lauTun meri man sajde mein rahti hai
Munawwar Rana
ye soch kar ki tera intizar lazim hai
tamam umr ghaDi ki taraf nahin dekha
Munawwar Rana
farishte aa kar un ke jism par KHushbu lagate hain
wo bachche rail ke Dibbon mein jo jhaDu lagate hain
Munawwar Rana
ab aap ki marzi hai sambhaalen na sambhaalen
KHushbu ki tarah aap ke rumal mein hum hain
Munawwar Rana
ab judai ke safar ko mere aasan karo
tum mujhe KHwab mein aa kar na pareshan karo
Munawwar Rana
abhi zinda hai man meri mujhe kuchh bhi nahin hoga
main ghar se jab nikalta hun dua bhi sath chalti hai
Munawwar Rana