meri hatheli pe honTon se aisi mohr laga
ki umr bhar ke liye main bhi surKH-ru ho jaun
Munawwar Rana
mere bachchon mein sari aadaten maujud hain meri
to phir in bad-nasibon ko na kyun urdu zaban aai
Munawwar Rana
main rah-e-ishq ke har pech-o-KHam se waqif hun
ye rasta mere ghar se nikal ke jata hai
Munawwar Rana
main ne kal shab chahaton ki sab kitaben phaD den
sirf ek kaghaz pe likkha lafz-e-man rahne diya
Munawwar Rana
main isi miTTi se uTTha tha bagule ki tarah
aur phir ek din isi miTTi mein miTTi mil gai
Munawwar Rana
main duniya ke mear pe pura nahin utra
duniya mere mear pe puri nahin utri
Munawwar Rana
man KHwab mein aa kar ye bata jati hai har roz
bosida si oDhi hui is shaal mein hum hain
Munawwar Rana
lipaT jata hun man se aur mausi muskuraati hai
main urdu mein ghazal kahta hun hindi muskuraati hai
Munawwar Rana
kuchh bikhri hui yaadon ke qisse bhi bahut the
kuchh us ne bhi baalon ko khula chhoD diya tha
Munawwar Rana