اردو हिंदी
Sahra-pasand ho ke simaTne laga hun main | Shaahi Shayari
sahra-pasand ho ke simaTne laga hun main

Ghazal

Sahra-pasand ho ke simaTne laga hun main

Munawwar Rana

;

sahra-pasand ho ke simaTne laga hun main
andar se lag raha hai ki baTne laga hun main

kya phir kisi safar pe nikalna hai ab mujhe
diwar-o-dar se kyun ye lipaTne laga hun main

aate hain jaise jaise bichhaDne ke din qarib
lagta hai jaise rail se kaTne laga hun main

kya mujh mein ehtijaj ki taqat nahin rahi
pichhe ki samt kis liye haTne laga hun main

phir sari umr chand ne rakkha mera KHayal
ek roz kah diya tha ki ghaTne laga hun main