ai KHak-e-watan tujh se main sharminda bahut hun
mahngai ke mausam mein ye tyauhaar paDa hai
Munawwar Rana
achchon ki fees un ki kitaben qalam dawat
meri gharib aankhon mein school chubh gaya
Munawwar Rana
arbaad kar diya hamein pardes ne magar
man sab se ki rahi hai ki beTa maze mein hai
Munawwar Rana
hale lagte hain schoolon ki uniform mein bachche
kanwal ke phul se jaise bhara talab rahta hai
Munawwar Rana
ojh uThana shauq kahan hai majburi ka sauda hai
rahte rahte station par log quli ho jate hain
Munawwar Rana
chalti phirti hui aaankhon se azan dekhi hai
main ne jannat to nahin dekhi hai man dekhi hai
Munawwar Rana
dahliz pe rakh di hain kisi shaKHs ne aankhen
raushan kabhi itna to diya ho nahin sakta
Munawwar Rana
daulat se mohabbat to nahin thi mujhe lekin
bachchon ne khilaunon ki taraf dekh liya hai
Munawwar Rana
daulat se mohabbat to nahin thi mujhe lekin
bachchon ne khilaunon ki taraf dekh liya tha
Munawwar Rana