apni si karo tum bhi apni si karen hum bhi
kuchh tum ne bhi Thani hai kuchh hum ne bhi Thani hai
Mubarak Azimabadi
ab wahi said hai jo tha sayyaad
nala bulbul ka be-asar na hua
Mubarak Azimabadi
aap ka iKHtiyar hai sab par
aap par iKHtiyar kis ka hai
Mubarak Azimabadi
aane mein kabhi aap se jaldi nahin hoti
jaane mein kabhi aap tawaqquf nahin karte
Mubarak Azimabadi
jo qayamat ka nahin din wo mera din kaisa
jo taDap kar na kaTi ho wo meri raat nahin
Mubarak Azimabadi
KHabar itni to hai jhonke tere baad-e-KHizan pahunche
KHuda malum tinke aashiyane ke kahan pahunche
Mubarak Azimabadi
kali rah gai na-shagufta hamari
gila rah gaya ye nasim-e-chaman se
Mubarak Azimabadi
kal to dekha tha 'mubarak' but-kade mein aap ko
aaj hazrat ja ke masjid mein musalman ho gae
Mubarak Azimabadi
kahin aisa na ho kam-baKHt mein jaan aa jae
is liye hath mein lete meri taswir nahin
Mubarak Azimabadi