qayamat ki haqiqat jaanta hun
ye ek Thokar hai mere fitnagar ki
Mubarak Azimabadi
qadam qadam pe ye kahti hui bahaar aai
ki rah band thi jangal ki khol di main ne
Mubarak Azimabadi
phul kya Daloge turbat par meri
KHak bhi tum se na Dali jaegi
Mubarak Azimabadi
daman ashkon se tar karen kyun-kar
raaz ko mushtahar karen kyun-ka
Mubarak Azimabadi
iman ki to ye hai ki iman ab kahan
kafir bana gai teri kafir-nazar mujhe
Mubarak Azimabadi
hazaron mai-kade sar par liye hain
ye baadal hain baDe saman wale
Mubarak Azimabadi
hawa bandhte hain jo hazrat jinan ki
gali mein hasinon ki aae gae hain
Mubarak Azimabadi
hum bhi diwane hain wahshat mein nikal jaenge
najd ek dasht hai kuchh qais ki jagir nahin
Mubarak Azimabadi
hansi hai dil-lagi hai qahqahe hain
tumhaari anjuman ka puchhna kya
Mubarak Azimabadi