gai bahaar magar apni be-KHudi hai wahi
samajh raha hun ki ab tak bahaar baqi hai
Mubarak Azimabadi
din bhi hai raat bhi hai subh bhi hai sham bhi hai
itne waqton mein koi waqt-e-mulaqat bhi hai
Mubarak Azimabadi
dil mein aane ke 'mubarak' hain hazaron raste
hum bataen use rahen koi hum se puchhe
Mubarak Azimabadi
dil lagate hi to kah deti hain aankhen sab kuchh
aise kaamon ke bhi aaghaz kahin chhupte hain
Mubarak Azimabadi
ek mera sar ki qadam-bosi ki hasrat is ko
ek teri zulf ki qadmon se lagi rahti hai
Mubarak Azimabadi
ikhri hui hai yun meri wahshat ki dastan
daman kidhar kidhar hai gireban kahan kahan
Mubarak Azimabadi
ewafa umr daghabaz jawani nikli
na yahi rahti hai zalim na wahi rahti hai
Mubarak Azimabadi
esh o kam ka shikwa saqi se 'mubarak' kufr tha
daur mein sab ke ba-qadr-e-zarf paimana raha
Mubarak Azimabadi
asar ho ya na ho waiz bayan mein
magar chalti to hai teri zaban KHu
Mubarak Azimabadi