wo mujh se puchhte hain ki rote ho kis liye
dariya ko de ye qatra-e-nachiz kya jawa
Lala Madhav Ram Jauhar
wo ayaadat ko na aaya karen main dar guzra
haal-e-dil puchh ke aur aag laga jate hain
Lala Madhav Ram Jauhar
wahi shagird phir ho jate hain ustad ai 'jauhar'
jo apne jaan-o-dil se KHidmat-e-ustad karte hain
Lala Madhav Ram Jauhar
waqif nahin ki panw mein paDti hain beDiyan
dulhe ko ye KHushi hai ki meri baraat hai
Lala Madhav Ram Jauhar
wada nahin payam nahin guftugu nahin
hairat hai ai KHuda mujhe kyun intizar hai
Lala Madhav Ram Jauhar
us ne phir kar bhi na dekha main use dekha kiya
de diya dil rah chalte ko ye main ne kya kiya
Lala Madhav Ram Jauhar
un ke aane ki KHabar sun ke to ye haal hua
jab wo aaenge to phir kya meri haalat hogi
Lala Madhav Ram Jauhar
tu ne aghyar se aaina manga kar dekha
dil mein aata hai ki ab munh na dikhaen tujh ko
Lala Madhav Ram Jauhar
tum shah-e-husn ho ke na puchho faqir se
aise bhare makan se KHali gada phire
Lala Madhav Ram Jauhar

