duniya-dari to kya aati daman sina sikh liya
marne ke the lakh bahane phir bhi jina sikh liya
Khalilur Rahman Azmi
hangama-e-hayat se jaan-bar na ho saka
ye dil ajib dil hai ki patthar na ho saka
Khalilur Rahman Azmi
hae us dast-e-karam hi se mile jaur-o-jafa
mujh ko aaghaz-e-mohabbat hi mein mar jaana tha
Khalilur Rahman Azmi
hae wo log jin ke aane ka
hashr tak intizar hota hai
Khalilur Rahman Azmi
hum ne KHud apne-ap zamane ki sair ki
hum ne qubul ki na kisi rahnuma ki shart
Khalilur Rahman Azmi
aaj Duba hua KHushbu mein hai pairahan-e-jaan
ai saba kis ne ye puchha hai tera nam-o-nishan
Khalilur Rahman Azmi
hum pe jo guzri hai bas us ko raqam karte hain
aap-biti kaho ya marsiya-KHwani kah lo
Khalilur Rahman Azmi
hum sa mile koi to kahen us se haal-e-dil
hum ban gae zamane mein kyun apni hi misal
Khalilur Rahman Azmi
hamare baad us marg-e-jawan ko kaun samjhega
irada hai ki apna marsiya bhi aap hi likh len
Khalilur Rahman Azmi