makan shishe ka banwate ho 'azar'
bahut aaenge patthar dekh lena
Kafeel Aazar Amrohvi
ek ek baat mein sachchai hai us ki lekin
apne wadon se mukar jaane ko ji chahta hai
Kafeel Aazar Amrohvi
koi manzil nahin milti to Thahar jate hain
ashk aankhon mein musafir ki tarah aate hain
Kafeel Aazar Amrohvi
kamre mein phailta raha cigarette ka dhuan
main band khiDkiyon ki taraf dekhta raha
Kafeel Aazar Amrohvi
kab aaoge ye ghar ne mujh se chalte waqt puchha tha
yahi aawaz ab tak gunjti hai mere kanon mein
Kafeel Aazar Amrohvi
jab se ek KHwab ki tabir mili hai mujh ko
main har ek KHwab ki tabir se ghabraata hun
Kafeel Aazar Amrohvi
jate jate ye nishani de gaya
wo meri aaankhon mein pani de gaya
Kafeel Aazar Amrohvi
ek sahma hua sunsan gali ka nukkaD
shahar ki bhiD mein akasr mujhe yaad aaya hai
Kafeel Aazar Amrohvi
hum bhi in bachchon ki manind koi pal ji len
ek sikka jo hatheli pe saja late hain
Kafeel Aazar Amrohvi