اردو हिंदी
Koi manzil nahin milti to Thahar jate hain | Shaahi Shayari
koi manzil nahin milti to Thahar jate hain

Ghazal

Koi manzil nahin milti to Thahar jate hain

Kafeel Aazar Amrohvi

;

koi manzil nahin milti to Thahar jate hain
ashk aankhon mein musafir ki tarah aate hain

kyun tere hijr ke manzar pe sitam Dhate hain
zaKHm bhi dete hain aur KHwab bhi dikhlate hain

hum bhi in bachchon ki manind koi pal ji len
ek sikka jo hatheli pe saja late hain

ye to har roz ka mamul hai hairan ho kyun
pyas hi pite hain hum bhuk hi hum khate hain

har baDa bachchon ko jine ki dua deta hai
hum bhi shayad isi wirse ki saza pate hain

subh le jate hain hum apna janaza ghar se
sham ko phir ise kandhon pe uTha late hain

shahr ki bhiD mein kya ho isi KHatir 'azar'
apni pahchan ko hum ghar mein hi chhoD aate hain