puchhi jo us se main dil-e-sad-chaak ki KHabar
uljha ke apni zulf wo shane se uTh gaya
Jurat Qalandar Bakhsh
puchho na kuchh sabab mere haal-e-tabah ka
ulfat ka ye samar hai natija hai chah ka
Jurat Qalandar Bakhsh
qaem rahe kya imarat-e-dil
buniyaad mein to paDa hai Dhahna
Jurat Qalandar Bakhsh
qafas mein ham-safiro kuchh to mujh se baat kar jao
bhala main bhi kabhi to rahne wala tha gulistan ka
Jurat Qalandar Bakhsh
qahr thin dar-parda shab majlis mein us ki shoKHiyan
le gaya dil sab ke wo aur sab se sharmata raha
Jurat Qalandar Bakhsh
ahe qafas hi mein hum aur chaman mein phir phir kar
hazar martaba mausam bahaar ka pahuncha
Jurat Qalandar Bakhsh
akhe hai lazzat-e-bosa se mujh ko gar mahrum
to apne tu bhi na honTon talak zaban pahuncha
Jurat Qalandar Bakhsh
oun to KHush ho ke piye hai wo mai
samjhe hai mausam ise barsat ka
Jurat Qalandar Bakhsh
oz-o-shab koi tumhaare dhyan mein masruf hai
kuchh tumhein bhi dhyan hai pyare kisi ke dhyan ka
Jurat Qalandar Bakhsh