mujh ko to hosh nahin tum ko KHabar ho shayad
log kahte hain ki tum ne mujhe barbaad kiya
Josh Malihabadi
mere rone ka jis mein qissa hai
umr ka behtarin hissa hai
Josh Malihabadi
mahfil-e-ishq mein wo nazish-e-dauran aaya
ai gada KHwab se bedar ki sultan aaya
Josh Malihabadi
koi aaya teri jhalak dekhi
koi bola suni teri aawaz
Josh Malihabadi
kisi ka ahd-e-jawani mein parsa hona
qasam KHuda ki ye tauhin hai jawani ki
Josh Malihabadi
kashti-e-mai ko hukm-e-rawani bhi bhej do
jab aag bhej di hai to pani bhi bhej do
Josh Malihabadi
kaam hai mera taghayyur nam hai mera shabab
mera nara inqilab o inqilab o inqila
Josh Malihabadi
jitne gada-nawaz the kab ke guzar chuke
ab kyun bichhae baiThe hain hum boriya na puchh
Josh Malihabadi
itna manus hun fitrat se kali jab chaTki
jhuk ke main ne ye kaha mujh se kuchh irshad kiya?
Josh Malihabadi

