hum aise ahl-e-nazar ko subut-e-haq ke liye
agar rasul na hote to subh kafi thi
Josh Malihabadi
hum gae the us se karne shikwa-e-dard-e-firaq
muskura kar us ne dekha sab gila jata raha
Josh Malihabadi
har ek kanTe pe surKH kirnen har ek kali mein charagh raushan
KHayal mein muskurane wale tera tabassum kahan nahin hai
Josh Malihabadi
idhar teri mashiyyat hai udhar hikmat rasulon ki
ilahi aadmi ke bab mein kya hukm hota hai
Josh Malihabadi
ek na ek zulmat se jab wabasta rahna hai to 'josh'
zindagi par saya-e-zulf-e-pareshan kyun na ho
Josh Malihabadi
insan ke lahu ko piyo izn-e-am hai
angur ki sharab ka pina haram hai
Josh Malihabadi
is dil mein tere husn ki wo jalwagari hai
jo dekhe hai kahta hai ki shishe mein pari hai
Josh Malihabadi