ab tak na KHabar thi mujhe ujDe hue ghar ki
wo aae to ghar be-sar-o-saman nazar aaya
Josh Malihabadi
allah re husn-e-dost ki aaina-dariyan
ahl-e-nazar ko naqsh-ba-diwar kar diya
Josh Malihabadi
aadban naz se lahra ke chali baad-e-murad
karwan id mana qafila-salar aaya
Josh Malihabadi
dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diya
jab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya
Josh Malihabadi
duniya ne fasanon ko baKHshi afsurda haqaeq ki talKHi
aur hum ne haqaeq ke naqshe mein rang bhara afsanon ka
Josh Malihabadi
ek din kah lijiye jo kuchh hai dil mein aap ke
ek din sun lijiye jo kuchh hamare dil mein hai
Josh Malihabadi
aaDe aaya na koi mushkil mein
mashware de ke haT gae ahba
Josh Malihabadi
han aasman apni bulandi se hoshiyar
ab sar uTha rahe hain kisi aastan se hum
Josh Malihabadi
had hai apni taraf nahin main bhi
aur un ki taraf KHudai hai
Josh Malihabadi