wafa iKHlas qurbani mohabbat
ab in lafzon ka pichha kyun karen hum
Jaun Eliya
us se har-dam moamla hai magar
darmiyan koi silsila hi nahin
Jaun Eliya
us ne goya mujhi ko yaad rakha
main bhi goya usi ko bhul gaya
Jaun Eliya
us ke honTon pe rakh ke honT apne
baat hi hum tamam kar rahe hain
Jaun Eliya
us gali ne ye sun ke sabr kiya
jaane wale yahan ke the hi nahin
Jaun Eliya
tumhaari yaad mein jine ki aarzu hai abhi
kuchh apna haal sambhaalun agar ijazat ho
Jaun Eliya
sari gali sunsan paDi thi baad-e-fana ke pahre mein
hijr ke dalan aur aangan mein bas ek saya zinda tha
Jaun Eliya
oya hun to apne doston mein
par tujh se to hans ke hi mila hun
Jaun Eliya
sari duniya ke gham hamare hain
aur sitam ye ki hum tumhaare hain
Jaun Eliya