aegan wasl mein bhi waqt hua
par hua KHub raegan jaanan
Jaun Eliya
akho dair-o-haram ko ab muqaffal
kai pagal yahan se bhag nikle
Jaun Eliya
ehn sarshaari-e-faza ke hain
aaj ke baad hum hawa ke hain
Jaun Eliya
oya hun to apne doston mein
par tujh se to hans ke hi mila hun
Jaun Eliya
sari duniya ke gham hamare hain
aur sitam ye ki hum tumhaare hain
Jaun Eliya
sari gali sunsan paDi thi baad-e-fana ke pahre mein
hijr ke dalan aur aangan mein bas ek saya zinda tha
Jaun Eliya
sab mere baghair mutmain hain
main sab ke baghair ji raha hun
Jaun Eliya
teri qimat ghaTai ja rahi hai
mujhe furqat sikhai ja rahi hai
Jaun Eliya
tegh-bazi ka shauq apni jagah
aap to qatl-e-am kar rahe hain
Jaun Eliya