kaam ki baat main ne ki hi nahin
ye mera taur-e-zindagi hi nahin
Jaun Eliya
kaise kahen ki tujh ko bhi hum se hai wasta koi
tu ne to hum se aaj tak koi gila nahin kiya
Jaun Eliya
kal ka din hae kal ka din ai 'jaun'
kash is raat hum bhi mar jaen
Jaun Eliya
kaun is ghar ki dekh-bhaal kare
roz ek chiz TuT jati hai
Jaun Eliya
kaun se shauq kis hawas ka nahin
dil meri jaan tere bas ka nahin
Jaun Eliya
KHamoshi se ada ho rasm-e-duri
koi hangama barpa kyun karen hum
Jaun Eliya
KHarch chalega ab mera kis ke hisab mein bhala
sab ke liye bahut hun main apne liye zara nahin
Jaun Eliya
KHuda se le liya jannat ka wade
ye zahid to baDe hi ghag nikle
Jaun Eliya
KHub hai shauq ka ye pahlu bhi
main bhi barbaad ho gaya tu bhi
Jaun Eliya