marham-e-hijr tha ajab iksir
ab to har zaKHm bhar gaya hoga
Jaun Eliya
main sahun karb-e-zindagi kab tak
rahe aaKHir teri kami kab tak
Jaun Eliya
kiya tha ahd jab lamhon mein hum ne
to sari umr ifa kyun karen hum
Jaun Eliya
kya kaha ishq jawedani hai!
aaKHiri bar mil rahi ho kya
Jaun Eliya
kya hue surat-nigaran KHwab ke
KHwab ke surat-nigaran kya hue
Jaun Eliya
kya hai jo badal gai hai duniya
main bhi to bahut badal gaya hun
Jaun Eliya
koi mujh tak pahunch nahin pata
itna aasan hai pata mera
Jaun Eliya
kitne aish se rahte honge kitne itraate honge
jaane kaise log wo honge jo us ko bhate honge
Jaun Eliya
KHub hai shauq ka ye pahlu bhi
main bhi barbaad ho gaya tu bhi
Jaun Eliya