har shakl mein tha wahi numudar
hum ne hi nigah-e-sarsari ki
Ismail Merathi
izhaar-e-haal ka bhi zariya nahin raha
dil itna jal gaya hai ki aankhon mein nam nahin
Ismail Merathi
jab ghunche ko washud hui tahrik saba se
bulbul se ajab kya jo kare naghma-sarai
Ismail Merathi
jhuT aur mubaalaghe ne afsos
izzat kho di suKHanwari ki
Ismail Merathi
jis ne chashm-e-mast-e-saqi dekh li
ta qayamat us pe hushyari haram
Ismail Merathi
kabhi bhul kar kisi se na karo suluk aisa
ki jo tum se koi karta tumhein nagawar hota
Ismail Merathi
khola hai mujh pe sirr-e-haqiqat majaz ne
ye puKHtagi sila hai KHayalat-e-KHam ka
Ismail Merathi
KHwahishon ne Dubo diya dil ko
warna ye bahr-e-be-karan hota
Ismail Merathi
kuchh meri baat kimiya to na thi
aisi bigDi ki phir bani hi nahin
Ismail Merathi