اردو हिंदी
Jo bhale-bure ki aTkal na mera shiar hota | Shaahi Shayari
jo bhale-bure ki aTkal na mera shiar hota

Ghazal

Jo bhale-bure ki aTkal na mera shiar hota

Ismail Merathi

;

jo bhale-bure ki aTkal na mera shiar hota
na jaza-e-KHair pata na gunahgar hota

mai-e-be-KHudi ka saqi mujhe ek jura bas tha
na kabhi nasha utarta na kabhi KHumar hota

main kabhi ka mar bhi rahta na gham-e-firaq sahta
agar apni zindagi par mujhe iKHtiyar hota

ye jo ishq jaan-setan hai ye wo bahr-e-be-karan hai
na suna koi safina kabhi us se par hota

kabhi bhul kar kisi se na karo suluk aisa
ki jo tum se koi karta tumhein nagawar hota

hai is anjuman mein yaksan adam-o-wajud mera
ki jo main yahan na hota ye hi karobar hota