yaran-e-bazm-dahr mein kya kya tapak tha
lekin jab uTh gae to na bar-e-digar mile
Ismail Merathi
hai aaj ruKH hawa ka muafiq to chal nikal
kal ki kise KHabar hai kidhar ki hawa chale
Ismail Merathi
aghyar kyun daKHil hain bazm-e-surur mein
mana ki yar kam hain par itne to kam nahin
Ismail Merathi
andesha hai ki de na idhar ki udhar laga
mujh ko to na-pasand watire saba ke hain
Ismail Merathi
apni hi jalwagari hai ye koi aur nahin
ghaur se dekh agar aankh mein binai hai
Ismail Merathi
ad ki sohbat mein mat baiTho is ka hai anjam bura
bad na bane to bad kahlae bad achchha badnam bura
Ismail Merathi
chhuri ka tir ka talwar ka to ghao bhara
laga jo zaKHm zaban ka raha hamesha hara
Ismail Merathi
dariya ki tarah rawan hun lekin
ab tak bhi wahin hun main jahan hun
Ismail Merathi
did wa did ki ruKHsat hi sahi
mere hisse ki qayamat hi sahi
Ismail Merathi