اردو हिंदी
Hasrat Mohani Shayari | Shaahi Shayari

Hasrat Mohani Shers

75 Shers

e-zabani tarjuman-e-shauq behad ho to ho
warna pesh-e-yar kaam aati hai taqriren kahin

Hasrat Mohani


Tags: | 2 Lines Shayari |


arsat ke aate hi tauba na rahi baqi
baadal jo nazar aae badli meri niyat bhi

Hasrat Mohani




arq ko abr ke daman mein chhupa dekha hai
hum ne us shoKH ko majbur-e-haya dekha hai

hidden midst the clouds, lightning I did see
that sprite was today subdued by modesty

Hasrat Mohani


Tags: | Ada | | Haya | | 4 Lines Shayari |


ad-guman aap hain kyun aap se shikwa hai kise
jo shikayat hai hamein gardish-e-ayyam se hai

Hasrat Mohani




aam par aane lage wo samna hone laga
ab to izhaar-e-mohabbat barmala hone laga

Hasrat Mohani


Tags: | 2 Lines Shayari |


allah-ri jism-e-yar ki KHubi ki KHud-ba-KHud
ranginiyon mein Dub gaya pairahan tamam

Hasrat Mohani


Tags: | Husn | | 2 Lines Shayari |


aise bigDe ki phir jafa bhi na ki
dushmani ka bhi haq ada na hua

she was so annoyed she did not even torment me
in doing so denied what was due to enmity

Hasrat Mohani




ai yaad-e-yar dekh ki ba-wasf-e-ranj-e-hijr
masrur hain teri KHalish-e-na-tawan se hum

Hasrat Mohani


Tags: | 2 Lines Shayari |


aarzu teri barqarar rahe
dil ka kya hai raha raha na raha

Hasrat Mohani


Tags: | Aarzoo | | Dil | | 2 Lines Shayari |