kaun se din hath mein aaya mere daman-e-yar
kab zamin-o-asman ka fasla jata raha
Haidar Ali Aatish
karta hai kya ye mohtasib-e-sang-dil ghazab
shishon ke sath dil na kahin chur chur hon
Haidar Ali Aatish
kaT kar par mutmain sayyaad be-parwa na ho
ruh bulbul ki irada rakhti hai parwaz ka
having shorn its wings O hunter, be not complacent
the soul of the nightingale to soar is now intent
Haidar Ali Aatish
kaba o dair mein hai kis ke liye dil jata
yar milta hai to pahlu hi mein hai mil jata
Haidar Ali Aatish
jo dekhte teri zanjir-e-zulf ka aalam
asir hone ki aazad aarzu karte
Haidar Ali Aatish
jo aala-zarf hote hain hamesha jhuk ke milte hain
surahi sar-nigun ho kar bhara karti hai paimana
Haidar Ali Aatish
aae bhi log baiThe bhi uTh bhi khaDe hue
main ja hi DhunDta teri mahfil mein rah gaya
in your presence others were seated with charm and grace
whilst I remained unheeded, for me there was no place
Haidar Ali Aatish
id-e-nau-roz dil apna bhi kabhi KHush karte
yar aaghosh mein KHurshid hamal mein hota
Haidar Ali Aatish
har shab shab-e-baraat hai har roz roz-e-id
sota hun hath gardan-e-mina mein Dal ke
each night is a night of love, each day a day divine
I sleep with my arms entwined around a flask of wine
Haidar Ali Aatish