aap ki nazuk kamar par bojh paDta hai bahut
baDh chale hain had se gesu kuchh inhen kam kijiye
Haidar Ali Aatish
aaj tak apni jagah dil mein nahin apne hui
yar ke dil mein bhala puchho to ghar kyun-kar karen
Haidar Ali Aatish
aafat-e-jaan hui us ru-e-kitabi ki yaad
ras aaya na mujhe hafiz-e-quran hona
Haidar Ali Aatish
aadmi kya wo na samjhe jo suKHan ki qadr ko
nutq ne haiwan se musht-e-KHak ko insan kiya
Haidar Ali Aatish
ilahi ek dil kis kis ko dun main
hazaron but hain yan hindostan hai
Haidar Ali Aatish
koi but-KHane ko jata hai koi kabe ko
phir rahe gabr o musalman hain teri ghat mein kya
Haidar Ali Aatish
kisi ne mol na puchha dil-e-shikasta ka
koi KHarid ke TuTa piyala kya karta
Haidar Ali Aatish
kisi ki mahram-e-ab-e-rawan ki yaad aai
habab ke jo barabar kabhi habab aaya
Haidar Ali Aatish
KHuda daraaz kare umr charKH-e-nili ki
ye bekason ke mazaron ka shamiyana hai
Haidar Ali Aatish