aankhon se aansuon ke marasim purane hain
mehman ye ghar mein aaen to chubhta nahin dhuan
Gulzar
aadatan tum ne kar diye wade
aadatan hum ne e'tibar kiya
Gulzar
aag mein kya kya jala hai shab bhar
kitni KHush-rang dikhai di hai
Gulzar
aap ke baad har ghaDi hum ne
aap ke sath hi guzari hai
Gulzar
aap ne auron se kaha sab kuchh
hum se bhi kuchh kabhi kahin kahte
Gulzar
apne mazi ki justuju mein bahaar
pile patte talash karti hai
Gulzar
apne sae se chaunk jate hain
umr guzri hai is qadar tanha
Gulzar
hare hain raat ke reze kuchh aise aankhon mein
ujala ho to hum aankhen jhapakte rahte hain
Gulzar
chand ummiden nichoDi thin to aahen Tapkin
dil ko pighlaen to ho sakta hai sansen niklen
Gulzar