اردو हिंदी
Hum to kitnon ko mah-jabin kahte | Shaahi Shayari
hum to kitnon ko mah-jabin kahte

Ghazal

Hum to kitnon ko mah-jabin kahte

Gulzar

;

hum to kitnon ko mah-jabin kahte
aap hain is liye nahin kahte

chand hota na aasman pe agar
hum kise aap sa hasin kahte

aap ke panw phir kahan paDte
hum zamin ko agar zamin kahte

aap ne auron se kaha sab kuchh
hum se bhi kuchh kabhi kahin kahte

aap ke baad aap hi kahiye
waqt ko kaise ham-nashin kahte

wo bhi wahid hai main bhi wahid hun
kis sabab se hum aafrin kahte