har aadmi mein the do chaar aadmi pinhan
kisi ko DhunDne nikla koi mila mujh ko
Fuzail Jafri
aaThon pahr lahu mein nahaya kare koi
yun bhi na apne dard ko dariya kare koi
Fuzail Jafri
ehsas-e-jurm jaan ka dushman hai 'jafari'
hai jism tar tar saza ke baghair bhi
Fuzail Jafri
dil yun to gah gah sulagta hai aaj bhi
manzar magar wo raqs-e-sharar ka nahin raha
Fuzail Jafri
dasht-e-tanhai mein jine ka saliqa sikhiye
ye shikasta baam-o-dar bhi ham-safar ho jaenge
Fuzail Jafri
chamakte chand se chehron ke manzar se nikal aae
KHuda hafiz kaha bosa liya ghar se nikal aae
Fuzail Jafri
ose biwi ke hansi bachchon ki aankhen man ki
qaid-KHane mein giraftar samajhiye hum ko
Fuzail Jafri
hule-bisre hue gham phir ubhar aate hain kai
aaina dekhen to chehre nazar aate hain kai
Fuzail Jafri
aKHlaq o sharafat ka andhera hai wo ghar mein
jalte nahin masum gunahon ke diye bhi
Fuzail Jafri