اردو हिंदी
Dil mutmain hai harf-e-wafa ke baghair bhi | Shaahi Shayari
dil mutmain hai harf-e-wafa ke baghair bhi

Ghazal

Dil mutmain hai harf-e-wafa ke baghair bhi

Fuzail Jafri

;

dil mutmain hai harf-e-wafa ke baghair bhi
raushan hai rah nur-e-sada ke baghair bhi

ek KHauf sa daraKHton pe tari tha raat-bhar
patte laraz rahe the hawa ke baghair bhi

ghar ghar waba-e-hirs-o-hawas hai to kya hua
marte hain log roz waba ke baghair bhi

main sari umar lafzon se kambal na bun saka
kaTti hai raat yani rida ke baghair bhi

ehsas-e-jurm jaan ka dushman hai 'jafari'
hai jism tar tar saza ke baghair bhi