kaba bhi ghar apna hai sanam-KHana bhi apna
har husn ka jalwa mera iman-e-nazar hai
Figar Unnavi
ek tera aasra hai faqat ai KHayal-e-dost
sab bujh gae charagh shab-e-intizar mein
Figar Unnavi
hasrat-e-dil na-mukammal hai kitab-e-zindagi
joD de mazi ke sab auraq mustaqbil ke sath
Figar Unnavi
hain ye jazbaat mere dard bhare dil ke figar
lafz ban ban ke jo ashaar tak aa pahunche hain
Figar Unnavi
gham-o-alam se jo tabir ki KHushi main ne
bahut qarib se dekhi hai zindagi main ne
Figar Unnavi
faza ka tang hona fitrat-e-azad se puchho
par-e-parwaz hi kya jo qafas ko aashiyan samjhe
Figar Unnavi
ek KHwab-o-KHayal hai duniya
e'tibar-e-nazar ko kya kahiye
Figar Unnavi
dil mera shaki-e-jafa na hua
ye wafadar bewafa na hua
Figar Unnavi
dil ki buniyaad pe tamir kar aiwan-e-hayat
qasr-e-shahi to zara der mein Dah jate hain
Figar Unnavi