dil hai mera rangini-e-aghaz pe mail
nazron mein abhi jam hai anjam nahin hai
Figar Unnavi
dil choT sahe aur uf na kare ye zabt ki manzil hai lekin
saghar TuTe aawaz na ho aisa to bahut kam hota hai
Figar Unnavi
diwane ko majaz-o-haqiqat se kya gharaz
dair-o-haram mile na mile tera dar mile
Figar Unnavi
chhup gaya din qadam baDha rahi
dur manzil hai muft raat na ka
Figar Unnavi
a-qadr-e-zauq mere ashk-e-gham ki tarjumani hai
koi kahta hai moti hai koi kahta hai pani hai
Figar Unnavi
ajib kashmakash hai kaise harf-e-muddaa kahun
wo puchhte hain haal-e-dil main sochta hun kya kahun
Figar Unnavi