kitne achchhe log the kya raunaqen thin un ke sath
jin ki ruKHsat ne hamara shahr suna kar diya
Fatima Hasan
aankhon mein na zulfon mein na ruKHsar mein dekhen
mujh ko meri danish mere afkar mein dekhen
Fatima Hasan
kab us ki fath ki KHwahish ko jit sakti thi
main wo fariq hun jis ko ki haar jaana tha
Fatima Hasan
hamari nasl sanwarti hai dekh kar hum ko
so apne-ap ko shaffaf-tar bhi rakhna hai
Fatima Hasan
dikhai deta hai jo kuchh kahin wo KHwab na ho
jo sun rahi hun wo dhoka na ho samaat ka
Fatima Hasan
ichhaD raha tha magar muD ke dekhta bhi raha
main muskuraati rahi main ne bhi kamal kiya
Fatima Hasan
hul gai hun kis se mera nata tha
aur ye nata kaise TuTa bhul gai
Fatima Hasan
ahut gahri hai us ki KHamushi bhi
main apne qad ko chhoTa pa rahi hun
Fatima Hasan
aur koi nahin hai us ke siwa
sukh diye dukh diye usi ne diye
Fatima Hasan