sajao bazm ghazal gao jam taza karo
bahut sahi gham-e-giti sharab kam kya hai
Faiz Ahmad Faiz
sab qatl ho ke tere muqabil se aae hain
hum log surKH-ru hain ki manzil se aae hain
Faiz Ahmad Faiz
e-dam hue bimar dawa kyun nahin dete
tum achchhe masiha ho shifa kyun nahin dete
Faiz Ahmad Faiz
gar bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do Dar kaisa
gar jit gae to kya kahna haare bhi to bazi mat nahin
Faiz Ahmad Faiz
gham-e-jahan ho ruKH-e-yar ho ki dast-e-adu
suluk jis se kiya hum ne aashiqana kiya
Faiz Ahmad Faiz
fareb-e-arzu ki sahl-angari nahin jati
hum apne dil ki dhaDkan ko teri aawaz-e-pa samjhe
Faiz Ahmad Faiz
duniya ne teri yaad se begana kar diya
tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgar ke
This world has caused me to forget all thoughts of you
The sorrows of subsistence are more deceitful than you
Faiz Ahmad Faiz
donon jahan teri mohabbat mein haar ke
wo ja raha hai koi shab-e-gham guzar ke
Faiz Ahmad Faiz
dil se to har moamla kar ke chale the saf hum
kahne mein un ke samne baat badal badal gai
I ventured forth with all my thoughts properly arranged
In her presence when I spoke, the meaning had all changed
Faiz Ahmad Faiz