اردو हिंदी
Wo ahd-e-gham ki kahish-ha-e-be-hasil ko kya samjhe | Shaahi Shayari
wo ahd-e-gham ki kahish-ha-e-be-hasil ko kya samjhe

Ghazal

Wo ahd-e-gham ki kahish-ha-e-be-hasil ko kya samjhe

Faiz Ahmad Faiz

;

wo ahd-e-gham ki kahish-ha-e-be-hasil ko kya samjhe
jo un ki muKHtasar rudad bhi sabr-azma samjhe

yahan wabastagi wan barhami kya jaaniye kyun hai
na hum apni nazar samjhe na hum un ki ada samjhe

fareb-e-arzu ki sahl-angari nahin jati
hum apne dil ki dhaDkan ko teri aawaz-e-pa samjhe

tumhaari har nazar se munsalik hai rishta-e-hasti
magar ye dur ki baaten koi nadan kya samjhe

na puchho ahd-e-ulfat ki bas ek KHwab-e-pareshan tha
na dil ko rah par lae na dil ka muddaa samjhe