اردو हिंदी
Kab yaad mein tera sath nahin kab hat mein tera hat nahin | Shaahi Shayari
kab yaad mein tera sath nahin kab hat mein tera hat nahin

Ghazal

Kab yaad mein tera sath nahin kab hat mein tera hat nahin

Faiz Ahmad Faiz

;

kab yaad mein tera sath nahin kab hat mein tera hat nahin
sad-shukr ki apni raaton mein ab hijr ki koi raat nahin

mushkil hain agar haalat wahan dil bech aaen jaan de aaen
dil walo kucha-e-jaanan mein kya aise bhi haalat nahin

jis dhaj se koi maqtal mein gaya wo shan salamat rahti hai
ye jaan to aani jaani hai is jaan ki to koi baat nahin

maidan-e-wafa darbar nahin yan nam-o-nasab ki puchh kahan
aashiq to kisi ka nam nahin kuchh ishq kisi ki zat nahin

gar bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do Dar kaisa
gar jit gae to kya kahna haare bhi to bazi mat nahin