meri KHamoshiyon mein larzan hai
mere nalon ki gum-shuda aawaz
Faiz Ahmad Faiz
maqam 'faiz' koi rah mein jacha hi nahin
jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale
Faiz Ahmad Faiz
mai-KHana salamat hai to hum surKHi-e-mai se
tazin-e-dar-o-baam-e-haram karte rahenge
Faiz Ahmad Faiz
KHair dozaKH mein mai mile na mile
shaiKH-sahab se jaan to chhuTegi
Faiz Ahmad Faiz
kaTte bhi chalo baDhte bhi chalo bazu bhi bahut hain sar bhi bahut
chalte bhi chalo ki ab Dere manzil hi pe Dale jaenge
Faiz Ahmad Faiz
karo kaj jabin pe sar-e-kafan mere qatilon ko guman na ho
ki ghurur-e-ishq ka bankpan pas-e-marg hum ne bhula diya
Faiz Ahmad Faiz
kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum yaad be-hisab aae
Faiz Ahmad Faiz
kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi
Faiz Ahmad Faiz
juda the hum to mayassar thin qurbaten kitni
baham hue to paDi hain judaiyan kya kya
Faiz Ahmad Faiz