nigah nikli na dil ki chor zulf-e-ambarin nikli
idhar la hath muTThi khol ye chori yahin nikli
Dagh Dehlvi
nahin khel ai 'dagh' yaron se kah do
ki aati hai urdu zaban aate aate
Dagh Dehlvi
na-umidi baDh gai hai is qadar
aarzu ki aarzu hone lagi
Dagh Dehlvi
naseh ne mera haal jo mujh se bayan kiya
aansu Tapak paDe mere be-iKHtiyar aaj
Dagh Dehlvi
lijiye suniye ab afsana-e-furqat mujh se
aap ne yaad dilaya to mujhe yaad aaya
Dagh Dehlvi
lazzat-e-ishq ilahi miT jae
dard arman hua jata hai
Dagh Dehlvi
le chala jaan meri ruTh ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera
Dagh Dehlvi
lakh dene ka ek dena tha
dil-e-be-muddaa diya tu ne
Dagh Dehlvi
lipaT jate hain wo bijli ke Dar se
ilahi ye ghaTa do din to barse
by lightning scared, she clings to me
may two days,Lord, this weather be
Dagh Dehlvi