ayaadat ko meri aa kar wo ye takid karte hain
tujhe hum mar Dalenge nahin to jald achchha ho
Dagh Dehlvi
aao mil jao ki ye waqt na paoge kabhi
main bhi ham-rah zamane ke badal jaunga
Dagh Dehlvi
arz-e-ahwal ko gila samjhe
kya kaha main ne aap kya samjhe
the mention of my condition was a complaint thought to be
what was it I said to you, you did not follow me
Dagh Dehlvi
ai dagh apni waza hamesha yahi rahi
koi khincha khinche koi hum se mila mile
Dagh Dehlvi
abhi aai bhi nahin kucha-e-dilbar se sada
khil gai aaj mere dil ki kali aap hi aap
Dagh Dehlvi
ab to bimar-e-mohabbat tere
qabil-e-ghaur hue jate hain
Dagh Dehlvi
aati hai baat baat mujhe bar bar yaad
kahta hun dauD dauD ke qasid se rah mein
Dagh Dehlvi
aashiqi se milega ai zahid
bandagi se KHuda nahin milta
in romance, does God abound
O priest in piety not found
Dagh Dehlvi
aap pachhtaen nahin jaur se tauba na karen
aap ke sar ki qasam 'dagh' ka haal achchha hai
Dagh Dehlvi