wafa karenge nibahenge baat manenge
tumhein bhi yaad hai kuchh ye kalam kis ka tha
Dagh Dehlvi
waiz baDa maza ho agar yun azab ho
dozaKH mein panw hath mein jam-e-sharab ho
Dagh Dehlvi
wada jhuTa kar liya chaliye tasalli ho gai
hai zara si baat KHush karna dil-e-nashad ka
Dagh Dehlvi
tadbir se qismat ki burai nahin jati
bigDi hui taqdir banai nahin jati
Dagh Dehlvi
sunai jati hain dar-parda galiyan mujh ko
kahun jo main to kahe aap se kalam nahin
Dagh Dehlvi
tabiat koi din mein bhar jaegi
chaDhi hai ye naddi utar jaegi
Dagh Dehlvi
sun ke mera fasana unhen lutf aa gaya
sunta hun ab ki roz talab qissa-KHwan ki hai
Dagh Dehlvi
tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain
tujhe har bahane se hum dekhte hain
Dagh Dehlvi
Thokar bhi rah-e-ishq mein khani zarur hai
chalta nahin hun rah ko hamwar dekh ka
Dagh Dehlvi