zahr ka jam hi de zahr bhi hai aab-e-hayat
KHushk-sali ki to ho jae talafi saqi
Aziz Hamid Madni
gham-e-hayat o gham-e-dost ki kashakash mein
hum aise log to ranj-o-malal se bhi gae
Aziz Hamid Madni
aisi koi KHabar to nahin sakinan-e-shahr
dariya mohabbaton ke jo bahte the tham gae
Aziz Hamid Madni
alag siyasat-e-darban se dil mein hai ek baat
ye waqt meri rasai ka waqt hai ki nahin
Aziz Hamid Madni
ahaar chaak-e-gireban mein Thahr jati hai
junun ki mauj koi aastin mein hoti hai
Aziz Hamid Madni
aiTho ji ka bojh utaren donon waqt yahin milte hain
dur dur se aane wale raste kahin kahin milte hain
Aziz Hamid Madni
dilon ki uqda-kushai ka waqt hai ki nahin
ye aadmi ki KHudai ka waqt hai ki nahin
Aziz Hamid Madni
do gaz zamin fareb-e-watan ke liye mili
waise to aasman bhi bahut hain zamin bahut
Aziz Hamid Madni
ek taraf ru-e-jaanan tha jalti aankh mein ek taraf
sayyaron ki rakh mein milti raat thi ek bedari ki
Aziz Hamid Madni