har TuTe hue dil ki Dhaaras hai tera wada
juDte hain isi mai se darke hue paimane
Arzoo Lakhnavi
har nafas ek sharab ka ho ghunT
zindagani haram hai warna
Arzoo Lakhnavi
har ek sham kahti hai phir subh hogi
andhere mein suraj nazar aa raha hai
Arzoo Lakhnavi
hamari nakaami-e-wafa ne zamane ki khol di hain aankhen
charagh kab ka bujha paDa hai magar andhera kahin nahin hai
Arzoo Lakhnavi
hum ko itna bhi rihai ki KHushi mein nahin hosh
TuTi zanjir ki KHud panw hamara TuTa
Arzoo Lakhnavi
halka tha nadamat se sarmaya ibaadat ka
ek qatre mein bah nikle tasbih ke sau dane
Arzoo Lakhnavi