kis kaam ki aisi sachchai jo toD de ummiden dil ki
thoDi si tasalli ho to gai mana ki wo bol ke jhuT gaya
Arzoo Lakhnavi
kis gul ki bu hai daman-e-dil mein basi hui
chalti hai chheDti hui baad-e-saba mujhe
Arzoo Lakhnavi
KHushbu kahin chhupi hai mohabbat ke phul ki
li ek sans aur gali tak mahak gai
Arzoo Lakhnavi
KHizan ka bhes bana kar bahaar ne mara
mujhe do-rangi-e-lail-o-nahaar ne mara
Arzoo Lakhnavi
KHamoshi meri mani-KHez thi ai aarzu kitni
ki jis ne jaisa chaha waisa afsana bana Dala
Arzoo Lakhnavi
KHamosh jalne ka dil ke koi gawah nahin
ki shoala surKH nahin hai dhuan siyah nahin
Arzoo Lakhnavi
KHali na andalib ka soz-e-nafas gaya
wo lu chali ki rang gulon ka jhulas gaya
Arzoo Lakhnavi
kar pahle dil pe qabu jame ki phir KHabar le
daman bachane wale jati hai aastin bhi
Arzoo Lakhnavi
kam na thi tegh se ada-e-KHiram
dost dushman ki shan se nikla
Arzoo Lakhnavi