sirf us ke honT kaghaz par bana deta hun main
KHud bana leti hai honTon par hansi apni jagah
Anwar Shuoor
teri aas pe jita tha main wo bhi KHatm hui
ab duniya mein kaun hai mera koi nahin mera
Anwar Shuoor
tha wada sham ka magar aae wo raat ko
main bhi kiwaD kholne fauran nahin gaya
Anwar Shuoor
Thahr sakti hai kahan us ruKH-e-taban pe nazar
dekh sakta hai use aadmi band aankhon se
Anwar Shuoor
tere hote jo jachti hi nahin thi
wo surat aaj KHasi lag rahi hai
Anwar Shuoor
wo mujh se ruTh na jati to aur kya karti
meri KHataen meri laghzishen hi aisi thin
Anwar Shuoor
wo rang rang ke chhinTe paDe ki us ke baad
kabhi na phir nae kapDe pahan ke nikla main
Anwar Shuoor
zamane ke jhamelon se mujhe kya
meri jaan! main tumhaara aadmi hun
Anwar Shuoor
zindagi ki zaruraton ka yahan
hasraton mein shumar hota hai
Anwar Shuoor